umr bhar duniya ko samjhata raha
KHud fareb-e-zindagi khata raha
raushni aankhon mein baqi thi na thi
wo nazar mein tha nazar aata raha
zindagi kya thi tere jaane ke baad
sans tha aata raha jata raha
is tarah DhunDhoge ek din tum mujhe
jaise kuchh khoya gaya jata raha
apni surat hi na pahchani gai
waqt aaina to dikhlata raha
apne hi TuTe khilaunon se 'rais'
zindagi bhar dil ko bahlata raha
Ghazal
Umr bhar duniya ko samjhata raha
Raees Niyazi

