umr-bhar dard ke rishton ko nibhane se raha
zindagi mein to tere naz uThane se raha
jab bhi dekha to kinaron pe taDapta dekha
ye samundar to meri pyas bujhane se raha
bas yahi soch ke sar apna qalam kar Dala
ab wo ilzam mere sar to lagane se raha
is zamane mein jahaalat se guzar hoti hai
ab hunar se to koi ghar ko chalane se raha
hum hi tarkib karen koi ujalon ke liye
ab andhera to charaghon ko jalane se raha
waqt ke marmarin patthar pe ghazal likhta hun
ye ibarat koi mausam to miTane se raha
be-talluq to nahin umr guzari hai 'nafas'
rishta-e-ghair sahi kuchh to zamane se raha

Ghazal
Umr-bhar dard ke rishton ko nibhane se raha
Nafas Ambalvi