اردو हिंदी
Umr bhar chalte rahe hum waqt ki talwar par | Shaahi Shayari
umr bhar chalte rahe hum waqt ki talwar par

Ghazal

Umr bhar chalte rahe hum waqt ki talwar par

Azad Gulati

;

umr bhar chalte rahe hum waqt ki talwar par
parwarish pai hai apne KHun hi ki dhaar par

chahne wale ki ek ghalati se barham ho gaya
faKHr tha kitna use KHud pyar ke mear par

raat gahri meri tanhai ka sagar aur phir
teri yaadon ke sulagte dip har manjdhaar par

sham aai aur sab shaKHon ki galiyan so gain
maut ka saya sa manDlane laga ashjar par

KHalwat-e-shab mein ye aksar sochta kyun hun ki chand
nur ka bosa hai goya raat ke ruKHsar par

sal-e-nau aata hai to mahfuz kar leta hun main
kuchh purane se calender zehn ki diwar par

zindagi aazad pahle yun kabhi tanha na thi
aadmi bahta tha yunhi waqt ki raftar par