ummid o yas ne kya kya na gul khilae hain
hum aabshaar ke badle sarab lae hain
hawa hai garm udasi ka zard manzar hai
sabhi daraKHt hari konplen chhupae hain
kaTe hain panw to hathon ke bal chale uTh kar
misal-e-mauj tere ham-kanar aae hain
jahan dikhai na deta tha ek Tila bhi
wahan se log uTha kar pahaD lae hain
na ek bund inayat na phul bhar KHushbu
ye kis dayar ke baadal qafas pe chhae hain
kise hunar ka sila chahiye magar kuchh log
kahan kahan se na patthar uTha ke lae hain
azal se hum ko 'hasan' intizar-e-sabza hai
jale hain bagh to paude nae lagae hain
Ghazal
Ummid o yas ne kya kya na gul khilae hain
Hasan Nayeem