ummid ke ufuq se na uTTha ghubar tak
dekhi agarche rah-KHizan se bahaar tak
rakhne ko tere wada-e-na-mo'tabar ki laj
jheli hai dil ne zahmat-e-sabr-o-qarar tak
dekha hai kis ne munh sahar-e-jalwa-saz ka
sab walwale hain ek shab-e-intizar tak
sayyaad ke sitam se rihai ka zikr kya
sau dam the qafas se sar-e-shaKH-sar tak
matam ye hai ki zauq-e-fughan bhi nahin nasib
be-soz ho gaya nafas-e-shola-kar tak
jati hai dil ki hasrat-e-nazzargi kahan
nazzara ho gaya hai nigahon pe bar tak
kya us ki shan-e-banda-nawazi ka puchhna
baKHsha hai muflison ko gham-e-shah-war tak
phir us ke baad dil mein na utri koi nigah
wo teziyan rahin tere KHanjar ki dhaar tak
'haqqi' se sargiran hi sahi nukta-dan-e-sher
ek rang hai ki hai kuchh isi jaan-e-haar tak
Ghazal
Ummid ke ufuq se na uTTha ghubar tak
Shaanul Haq Haqqi

