اردو हिंदी
Ummid-e-shauq ho ya wada-e-rahat-fiza koi | Shaahi Shayari
ummid-e-shauq ho ya wada-e-rahat-fiza koi

Ghazal

Ummid-e-shauq ho ya wada-e-rahat-fiza koi

Rishi Patialvi

;

ummid-e-shauq ho ya wada-e-rahat-fiza koi
mariz-e-ishq ko achchha nahin karti dawa koi

bhari duniya mein apne bhi hain begane bhi hain lekin
nahin hamdard ab mera tere gham ke siwa koi

purana ho gaya hai zikr-e-tauba chhoDiye saqi
purani ho to la koi rakha koi pila koi

mujhe ye arz karni hai tumhaari be-niyazi se
tumhaari aarzu ke baad kaisa muddaa koi

ye apni apni aadat hai ye apni apni fitrat hai
koi hai banda-e-mehr-o-wafa to be-wafa koi

zamane ki nigahon mein gunahgar-e-wafa hum hain
na jaane kyun nahin hota hamara faisla koi

ye dil aTke ka sauda hai ye dil aaega qissa hai
mohabbat ki nigahon mein nahin achchha bura koi

sama kar dil mein parda hai nigah-e-shauq se yani
KHud apne aap se chhupta hai ab kafir-ada koi

'rishi' hum har kisi se haal dil ka kah nahin sakte
baDi mushkil se milta hai kahin dard-ashna koi