اردو हिंदी
Umidon se dil-e-barbaad ko aabaad karta hun | Shaahi Shayari
umidon se dil-e-barbaad ko aabaad karta hun

Ghazal

Umidon se dil-e-barbaad ko aabaad karta hun

Hari Chand Akhtar

;

umidon se dil-e-barbaad ko aabaad karta hun
miTane ke liye duniya nai ijad karta hun

teri miad-e-gham puri hui ai zindagi KHush ho
qafas TuTe na TuTe main tujhe aazad karta hun

jafa-karo meri mazlum KHamoshi pe hanste ho
zara Thahro zara dam lo abhi fariyaad karta hun

main apne dil ka malik hun mera dil ek basti hai
kabhi aabaad karta hun kabhi barbaad karta hun

mulaqaten bhi hoti hain mulaqaton ke baad aksar
wo mujh ko bhul jate hain main un ko yaad karta hun