umid TuTi hui KHak-dan mein raushan hai
koi charagh to dil ke makan mein raushan hai
sunahri dhup ka patta KHizan mein raushan hai
ki aaina koi abr-e-rawan mein raushan hai
junun hamara makan la-makan mein raushan hai
hamari gard-e-safar aasman mein raushan hai
qadam qadam pe hai ab zina-e-zawal to kya
sar-e-ghurur hamara jahan mein raushan hai
kahan ki wahshaten diwar-o-baam-o-dar par hain
ajib KHauf mere sehn-e-jaan mein raushan hain
'munir' aankhon mein chingariyan si uDne lagin
koi to chashma-e-reg-e-rawan mein raushan hai
Ghazal
Umid TuTi hui KHak-dan mein raushan hai
Muneer Saifi

