umid-o-bim ke aalam mein dil dahalta hai
wo aate aate kai raste badalta hai
abhi to sham hai tanqid kar na rindon par
suna hai raat gae mai-kada sambhalta hai
na koi KHauf na andesha aur na raKHt-e-safar
ye kaun hai jo mere sath sath chalta hai
hamare waste jis ja pe hadd-e-fasil hai
wahin se ek naya rasta nikalta hai
ajib chiz hai ye karb-e-KHud-kalami bhi
jo baat kije to ek silsila nikalta hai
na jaane kitne sar-e-pur-ghurur kaTte hain
ajib shaKHs hai talwar ban ke chalta hai
'habab' shikwa baja lao naqd-e-jaan ke tufail
tumhaare nam ka sikka yahan bhi chalta hai
Ghazal
Umid-o-bim ke aalam mein dil dahalta hai
Habab Hashmi