umid-e-mehr par ek hasrat-e-dil hum bhi rakhte the
tamanna wasl ki ai mah-e-kaamil hum bhi rakhte the
kabhi gulzar dagh-e-ishq se dil hum bhi rakhte hai
kabhi ek taza gulshan ai anadil hum bhi rakhte the
kisi din to wo bahr-e-husn aa kar zeb-bar hota
ki aaghosh-e-tamanna shakl-e-sahil hum bhi rakhte the
alag tu bazm se uTh kar jo sun leta to kah dete
ki kuchh kuchh iltija ai zeb-e-mahfil hum bhi rakhte the
hamein be-maut kyun mara ajal tu kis liye aai
hawa-e-bosa-e-shamshir-e-qatil hum bhi rakhte the
hamare dil ka uqda kyun na ai ghuncha-dahan khola
hawas bose ki thi thoDi si mushkil hum bhi rakhte the
karen ab kya kahan DhunDhen ganwaya ku-e-gesu mein
kabhi yaadash-ba-KHair ai hamdamo dil hum bhi rakhte the
hamara imtihan o qadar-andaz lazim tha
dil-e-majruh-o-muztar jaan-e-bismil hum bhi rakhte the
kiya pamal us ko kyun na tum ne sath sabze ke
tumhaare zer-e-pa ai jaan-e-jaan dil hum bhi rakhte the
nahin ab kasrat-e-dagh-e-junun se laeq-e-hadiya
kabhi dil peshkash karne ke qabil hum bhi rakhte the
haqarat se na dekho aaj hum ko ai pari-ruyo
kabhi tum sa koi zohra-shamail hum bhi rakhte the
ajab hai kya hui ulfat wo ai jaan donon jaanib ki
yahi dil tum bhi rakhte the yahi dil hum bhi rakhte the
yunhi shab bhar jala karte the yaad-e-shoala-e-ruKH mein
yahi sozish kabhi ai sham-e-mahfil hum bhi rakhte the
lab-e-jaan-baKHsh par kya fauq dete chashm-e-fattan ko
ki 'anjum' kuchh tamiz-e-haqq-o-baatil hum bhi rakhte the
Ghazal
Umid-e-mehr par ek hasrat-e-dil hum bhi rakhte the
Mirza Asman Jah Anjum