umanD rahi hain ghaTaen ki zulf barham hai
chhalak raha hai jo KHum hai ki aankh pur-nam hai
nashat-e-zist mayassar nahin to kya shikwa
mujhe hayat se baDh kar hayat ka gham hai
phir aaj gardish-e-dauran se mat khai hai
bisat-e-dil hi ulaT do ki hausla kam hai
Thahar na jae kahin nabz-e-gardish-e-dauran
teri nigah-e-karam ka kuchh aur aalam hai
na shor-e-naghma na raqs-e-subu na KHanda-e-gul
chaman mein aaj nigar-e-chaman ka matam hai
Ghazal
UmanD rahi hain ghaTaen ki zulf barham hai
Nazeer Mohsin