uljhi thi zulf us ne sanwara sanwar gai
shane ko kya KHabar ye bala kis ke sar gai
aaine bhi banae to dekha na apna munh
ab tak na KHadd-o-KHal pe apne nazar gai
yun to rawaq-e-daulat-o-din bhi the saya-dar
lekin thakan gharib ki su-e-shajar gai
ahl-e-nazar na mujh pe hansen meri ye nazar
kuchh to barun-e-halqa-e-hadd-e-nazar gai
raste mein kya dhara tha ki rukti kahin nigah
dekha tumhein to umr-e-gurezan Thahar gai
unchi hui fughan to gai aasman ke par
utra jo arsh se to dilon mein utar gai
manzil to apni hadd-e-nazar hi pe thi 'jamil'
pahunche wahan to aur kuchh aage nazar gai
Ghazal
Uljhi thi zulf usne sanwara sanwar gai
Jameel Mazhari

