uljhi hui sochon ki girhen kholte rahna
achchha hai magar in mein lahu gholte rahna
din bhar kisi manzar ke taaqub mein bhaTakna
aur sham ko lafzon ke nagin rolte rahna
main lamha-e-mahfuz nahin ruk na sakunga
uDna hai mere sang to par taulte rahna
KHamosh bhi rahne se janaze nahin rukte
jine ke liye ham-nafaso bolte rahna
achchha nahin aaghaz-e-masafat hi mein 'nasir'
kashti ka sar-e-ab-e-rawan Dolte rahna
Ghazal
Uljhi hui sochon ki girhen kholte rahna
Hasan Nasir