uljhe uljhe dhage dhage se KHayalon ki tarah
ho gaya hun in dinon tere sawalon ki tarah
apne dil ki wusaton mein har taraf bhaTka phira
be-karan mubham sarabon mein ghazalon ki tarah
ye mera ehsas hai ya jabr-e-mausam ka asar
ab ki rut mahke nahin gul pichhle salon ki tarah
asr-e-hazir ki jabin par talKHiyan kanda huin
tan gae haalat apne gird jalon ki tarah
dasht-e-gham mein aandhiyon ke dar sahne ke liye
KHushk patte uTh rahe hain aaj Dhaalon ki tarah
zulmat-e-maghrib ko 'KHatir' koi ye paigham de
hum bhi ab ubhrenge mashriq se ujalon ki tarah
Ghazal
Uljhe uljhe dhage dhage se KHayalon ki tarah
Khatir Ghaznavi

