uljhe to sab nasheb-o-faraaz-e-hayat mein
hum the ki un ki zulfon ke KHam dekhte rahe
jab ghar jala tha mera wo manzar ajib tha
dekha nahin jo tum ne wo hum dekhte rahe
wo sahib-e-qalam na wo ab sahiban-e-saif
kya ho gae hain saif o qalam dekhte rahe
hum tishna-kaam jam-e-tahi le ke hath mein
saqi ka mai-kade mein bharam dekhte rahe
pahunche sanam-kade mein to hairat na kam hui
kitne badal gae hain sanam dekhte rahe
bas dekhte hi dekhte 'naushad' kya kahen
suraj ghurub ho gaya hum dekhte rahe
Ghazal
Uljhe to sab nasheb-o-faraaz-e-hayat mein
Naushad Ali