uljha us ki did mein
paDa raha tamhid mein
bhul gaya is bar bhi
asar nahin takid mein
sikha man ko marna
afsar ki taid mein
rahna pal pal dhyan mein
milna id ke id mein
nama-bar likhwaega
tujh se nam rasid mein
us ki shakl utar lun
gar aa jae kashid mein
kanch tarashun baiTh kar
hire ki taqlid mein
DhunD KHuda insan se
murshid dekh murid mein
sifr ana ko man kar
miT jao tauhid mein
mujhe musawwir mil gaya
chhupa hua tajrid mein
Dhaala ek junun ne
qatra marwarid mein
kuchh be-himmat dhartiyan
jaDi rahin KHurshid mein
kyun aata hai lauT kar
wahi qadim jadid mein
wahid ko israr hai
kyun itna tauhid mein
Ghazal
Uljha uski did mein
Shahnawaz Zaidi

