اردو हिंदी
Ulfaton ka KHuda nahin hun main | Shaahi Shayari
ulfaton ka KHuda nahin hun main

Ghazal

Ulfaton ka KHuda nahin hun main

Aatish Indori

;

ulfaton ka KHuda nahin hun main
ranj-o-gham se juda nahin hun main

ek arsa hua gae us ko
ab to us ka pata nahin hun main

kalyugi soch se hun pardushit
koi taza hawa nahin hun main

KHarchon ke bojh ne kamar toDi
shauq se kui jhuka nahin hun main

bewafa ba-wafa nahin hoga
ishq ki kimiya nahin hun main

chand sikke hain logon ki qimat
shukr hai ki bika nahin hun main

dharm aur zat ki jakaD aisi
par to hain par uDa nahin hun main