ulfat ne teri hum ko to rakkha na kahin ka
dariya ka na jangal ka sama ka na zamin ka
iqlim-e-maani mein amal ho gaya mera
duniya mein bharosa tha kise taj-o-nagin ka
taqdir ne kya qutub-e-falak mujh ko banaya
mohtaj mera panw raha KHana-e-zin ka
ek boriye ke taKHt pe auqat basar ki
zahid bhi muqallid raha sajjada-nashin ka
'aKHtar' qalam-e-fikr ke bhi ashk hain jari
kya haal likhun apne dil-e-zar-o-hazin ka
Ghazal
Ulfat ne teri hum ko to rakkha na kahin ka
Wajid Ali Shah Akhtar