ulfat mein bigaD kar bhi ek waza nikali hai
diwane ki saj-dhaj hi duniya se nirali hai
Dali hai do-alam par miTTi abhi Dali hai
bas kuchh nahin ab hum mein ya himmat-e-ali hai
milti hai baDi rahat ek KHak-nashini mein
main ne to tabiat hi miTTi ki bana li hai
is ghar mein bahut kam hai ab aamad o raft us ki
duniya ki taraf hum ne diwar uTha li hai
kya rakkha hai diwane in aql ki baaton mein
bar-gashta-mizaji hai aashufta-KHayali hai
hasil hai karam us ko ek murshid-e-kaamil ka
'shakir' ki dua le lo 'shakir' ne dua li hai
Ghazal
Ulfat mein bigaD kar bhi ek waza nikali hai
Shakir Inayati