اردو हिंदी
UkhDi na ek shaKH bhi naKHl-e-jadid ki | Shaahi Shayari
ukhDi na ek shaKH bhi naKHl-e-jadid ki

Ghazal

UkhDi na ek shaKH bhi naKHl-e-jadid ki

Inam Durrani

;

ukhDi na ek shaKH bhi naKHl-e-jadid ki
har mohtasib ne beKH-kuni to shadid ki

ab to nigah-e-shauq ka ye haq bhi chhin gaya
Tw hi ek jagah thi hasinon ki did ki

guzri sawal-e-wasl ke chakkar mein sari umr
fursat na mil saki use guft-o-shunid ki

baKHsha hai pir-ji ne aqidat ka ye sila
laDki bhaga ke le gae apne murid ki