ujle paron mein kaun chhupa hai pata nahin
mathe pe to kisi ke farebi likha nahin
galiyon mein koi aa ke phir ek bar chiKH jae
muddat se sare shahr mein koi sada nahin
kajla gaya hai kitne hi qadmon tale magar
ye rasta ajib hai kuchh bolta nahin
bhaTka kiya mein zard haqarat ke shahr mein
nili hadon ke par wo lekin mila nahin
har saz par ubharne lage bebasi ke git
aao ki raqs ke liye mausam bura nahin
kaghaz pe us ka nam likho aur kaT do
wo shaKHs bhi to ab hamein pahchanta nahin

Ghazal
Ujle paron mein kaun chhupa hai pata nahin
Raees Faraz