uga sabza dar-o-diwar par aahista aahista
hua KHali sadaon se nagar aahista aahista
ghira baadal KHamoshi se KHizan-asar baghon par
hile ThanDi hawaon mein shajar aahista aahista
bahut hi sust tha manzar lahu ke rang lane ka
nishan aaKHir hua ye surKH-tar aahista aahista
chamak zar ki use aaKHir makan-e-KHak mein lai
banaya sanp ne jismon mein ghar aahista aahista
mere bahar fasilen thin ghubar-e-KHak-o-baran ki
mili mujh ko tere gham ki KHabar aahista aahista
'munir' is mulk par aaseb ka saya hai ya kya hai
ki harakat tez-tar hai aur safar aahista aahista
Ghazal
Uga sabza dar-o-diwar par aahista aahista
Muneer Niyazi