اردو हिंदी
Ufuq se aag utar aai hai mere ghar bhi | Shaahi Shayari
ufuq se aag utar aai hai mere ghar bhi

Ghazal

Ufuq se aag utar aai hai mere ghar bhi

Ghulam Husain Sajid

;

ufuq se aag utar aai hai mere ghar bhi
shikast hote hain kya shahar apne andar bhi

ye aab-o-tab isi marhale pe KHatm nahin
koi charagh hai is aaine se bahar bhi

KHamir jis ne uThaya hai KHak se mera
usi ne KHwab se khincha hai mera jauhar bhi

main DhunD lunga koi rasta palaTne ka
jo band hoga kabhi mujh pe aap ka dar bhi

kisi ke aks-e-munawwar ki chhuT se hai dang
to mere dam se hai ye aaina mukaddar bhi

ye saill-e-shab hi nahin mere waste jari
rawan hai mere liye subh ka samundar bhi

dahakne wale faqat phul hi na the 'sajid'
khile hue the inhi kyariyon mein aKHgar bhi