اردو हिंदी
Ufuq ke KHunin dhundlakon ka subh nam nahin | Shaahi Shayari
ufuq ke KHunin dhundlakon ka subh nam nahin

Ghazal

Ufuq ke KHunin dhundlakon ka subh nam nahin

Arshi Bhopali

;

ufuq ke KHunin dhundlakon ka subh nam nahin
qadam baDha ki ye sathi tera maqam nahin

abhi na de mujhe izn-e-bahaar ai saqi
abhi hayat sitaron se ham-kalam nahin

mila hai ab kahin sadiyon ke baad maston ko
wo mai-kada ki jahan koi tishna kaam nahin

na aarizon pe shafaq hai na gesuon mein shikan
ye subh-o-sham nahin mere subh-o-sham nahin

bahaar-e-dair-o-haram le ke kya karun naseh
ye qafile to abhi tak sahar-maqam nahin

qadam qadam pe hai darkar jahd-o-fikr-o-amal
ye zindagi hai sada-e-shikast-e-jam nahin

abhi to daman-e-shab mein sisak rahi hai sahar
baDhe chalo ki abhi saat-e-qayam nahin