ufuq agarche pighalta dikhai paDta hai
mujhe to dur sawera dikhai paDta hai
hamare shahr mein be-chehra log baste hain
kabhi kabhi koi chehra dikhai paDta hai
chalo ki apni mohabbat sabhi ko banT aaen
har ek pyar ka bhuka dikhai paDta hai
jo apni zat se ek anjuman kaha jae
wo shaKHs tak mujhe tanha dikhai paDta hai
na koi KHwab na koi KHalish na koi KHumar
ye aadmi to adhura dikhai paDta hai
lachak rahi hain shuaon ki siDhiyan paiham
falak se koi utarta dikhai paDta hai
chamakti ret pe ye ghusl-e-aftab tera
badan tamam sunahra dikhai paDta hai
Ghazal
Ufuq agarche pighalta dikhai paDta hai
Jaan Nisar Akhtar