uftad tabiat se is haal ko hum pahunche
shiddat ki mohabbat mein shiddat hi ke gham pahunche
ahwal bataen kya raste ki sunaen kya
ba-haalat-e-zar aae ba-dida-e-nam pahunche
jis chehre ko dekha wo aaina-e-duri tha
diwar ki surat tha jis dar pe qadam pahunche
kuchh lab pe kuchh aankhon mein le aae saja kar hum
jo ranj ki hath aae jo gham ki baham pahunche
qat-e-sar-e-shaKH-e-narm aaghaz-e-numu-e-nau
sadme meri chahat ko pahunche to pa kam pahunche
wo shaKH bane-sanwre wo shaKH phale-phule
jis shaKH pe dhup aae jis shaKH ko nam pahunche
Ghazal
Uftad tabiat se is haal ko hum pahunche
Zia Jalandhari