uf re ubhaar uf re zamana uThan ka
kal baam par the aaj hai qasd aasman ka
rona likha nasib mein hai apni jaan ka
shikwa na aap ka na gila aasman ka
bazar mein bhi chalte hain koThon ko dekhte
sauda KHaridte hain to unchi dukan ka
ye bhi KHuda ki shan hum ab aise ho gae
saya bhi bhagta hai tumhaare makan ka
kyun gham-nasib dil ko bura kah rahe ho tum
kyun sabr le rahe ho kisi be-zaban ka
waiz sharab-KHane mein kholega kya zaban
hum KHub jaante hain wo Tarra hai than ka
hum jam-e-mai ke bhi lab-e-tar chuste nahin
chaska paDa hua hai tumhaari zaban ka
main dil ki wardat to kahne ko kah chalun
kis ko yaqin aaega mere bayan ka
ye to kaha tujhe ho lahu thukna nasib
tum ne kabhi diya koi TukDa bhi pan ka
main jaun ya na jaun unhen le ke baam par
badla hua hai rang bahut aasman ka
afsana tum ne qais ka shayad suna nahin
TukDa hai ek wo bhi meri dastan ka
ab koi sina chir ke rakh le ki dil banae
aaweza gir paDa hai koi un ke kan ka
aaya jo ghair-lutf bahut der tak raha
badla tha main ne bhes tere pasban ka
duniya ki paD rahi hain nigahen 'riyaz' par
kis waza ka jawan hai kis aan-ban ka
Ghazal
Uf re ubhaar uf re zamana uThan ka
Riyaz Khairabadi