اردو हिंदी
UDte lamhon ke bhanwar mein koi phansta hi nahin | Shaahi Shayari
uDte lamhon ke bhanwar mein koi phansta hi nahin

Ghazal

UDte lamhon ke bhanwar mein koi phansta hi nahin

Aslam Azad

;

uDte lamhon ke bhanwar mein koi phansta hi nahin
is samundar mein koi tairne wala hi nahin

salha-sal se viran hain dil ki galiyan
ek muddat se koi is taraf aaya hi nahin

aankh ke ghaar mein hain saikDon saDti lashen
jhank kar un mein kisi ne kabhi dekha hi nahin

dur tak phail gai TuTte lamhon ki KHalij
waqt ka saya mere sar se utarta hi nahin

silsila rone ka sadiyon se chala aata hai
koi aansu meri palkon pe Thaharta hi nahin

jalte aakash ki Dhalwan pe suraj ka wajud
ek pighalta hua lawa hai ki bujhta hi nahin