اردو हिंदी
UDna to bahut uDna aflak pe ja rahna | Shaahi Shayari
uDna to bahut uDna aflak pe ja rahna

Ghazal

UDna to bahut uDna aflak pe ja rahna

Gulzar Vafa Chaudari

;

uDna to bahut uDna aflak pe ja rahna
hum ne kahan sikha hai zer-e-kaf-e-pa rahna

aankhon ko khula rakhna kis ke liye aasan hai
yan kis ko gawara hai aankhon ka khula rahna

jo mauja-e-baad aaya zardi ka payambar tha
eajaz se kya kam hai peDon ka hara rahna

baghon mein KHiraman thi shahron mein pareshan hai
KHushbu ko na ras aaya paband-e-hawa rahna

main zat ke sahra mein ta-umr na bhaTkunga
ai shahr ke darwazo mere liye wa rahna