اردو हिंदी
UDi jo gard to is KHak-dan ko pahchana | Shaahi Shayari
uDi jo gard to is KHak-dan ko pahchana

Ghazal

UDi jo gard to is KHak-dan ko pahchana

Wazir Agha

;

uDi jo gard to is KHak-dan ko pahchana
aur us ke baad dil-e-be-nishan ko pahchana

jala jo rizq to hum aasman ko jaan gae
lagi jo pyas to tir o kaman ko pahchana

chalo ye aankh ka jal-thal to tum ne dekh liya
magar ye kya ki na abr-e-rawan ko pahchana

bahaar aai to har-su thin katranen us ki
bahaar aai to hum ne KHizan ko pahchana

KHud apne gham hi se ki pahle dosti hum ne
aur us ke baad gham-e-dostan ko pahchana

safar tawil sahi hasil-e-safar ye hai
wahan ko bhul gae aur yahan ko pahchana

zamin se hath chhuDaya to fasle jage
magar na hum ne karan-ta-karan ko pahchana

ajab tarah se guzari hai zindagi hum ne
jahan mein rah ke na kar-e-jahan ko pahchana