udhar wo dasht-e-musalsal idhar musalsal main
wahi azal ka wo saya wahi ye pagal main
har ek ghar mein kisi ajnabi sa rahta hun
kisi ki aql mein aata nahin ye mohmal main
tamam shahr ki aankhon mein reza reza hun
kisi bhi aankh se uThta nahin mukammal main
rikab-e-KHak mein uljhe hain aasman ke panw
mera KHayal hawa par hai aur paidal main
kuchh is qadar hai pas-e-KHak aansuon ka hujum
bas ek bund ubhar aai aur jal-thal main
Ghazal
Udhar wo dasht-e-musalsal idhar musalsal main
Farhat Ehsas