اردو हिंदी
Udhar wo be-murawwat bewafa be-rahm qatil hai | Shaahi Shayari
udhar wo be-murawwat bewafa be-rahm qatil hai

Ghazal

Udhar wo be-murawwat bewafa be-rahm qatil hai

Waliullah Muhib

;

udhar wo be-murawwat bewafa be-rahm qatil hai
idhar be-sabr-o-be-taskin-o-be-taqat mera dil hai

udhar sayyaad chashm-o-dam-e-zulf-o-nawak-e-mizhgan
idhar pahlu mein dil ek said-e-laghar nim-bismil hai

udhar us ko to mere nam se bhi nang hai har-dam
idhar sine mein dil mushtaq hai aashiq hai mail hai

udhar wo KHud-parast ayyar hai maghrur hai KHud-been
idhar mera dil az-KHud-rafta hai shaidai ghafil hai

udhar har roz ka us ko KHilaf-e-wada hai aasan
idhar shab-ta-sahar-gah intizari saKHt mushkil hai

udhar KHush sair-e-dariya se hai wo na-ashna zalim
idhar hum gharq-e-bahr-e-gham hain aur napaid sahil hai

udhar barq-e-nigah hai sabr ke KHirman ki aatish-zan
idhar kisht-e-ummid-o-yas ab tak sair-e-hasil hai

udhar shane ko us ke zulf-o-kakul ne chaDhaya sar
idhar dil par bala-e-asman yak-dast nazil hai

udhar baqi hawas hai be-hisab us ko jafaon ki
idhar likhiye wafaon ki to kuchh apna hi fazil hai

udhar wo aaine mein aks-e-ru apne ka hai mail
idhar har shai mein wo hai jalwa-gar-e-shakl-o-shamail hai

udhar hai iKHtilat aghyar se us yar-e-jaani ka
idhar dil zikr us ke ka 'muhib' din raat shamil hai