اردو हिंदी
Udhar uski nigah ka naz se aa kar palaT jaana | Shaahi Shayari
udhar uski nigah ka naz se aa kar palaT jaana

Ghazal

Udhar uski nigah ka naz se aa kar palaT jaana

Nazeer Akbarabadi

;

udhar us ki nigah ka naz se aa kar palaT jaana
idhar marna taDapna ghash mein aana dam ulaT jaana

kahun kya kya main naqshe us ki nagin zulf ke yaro
lipaTna uD ke aana kaT khana phir palaT jaana

agar milne ki dhun rakhna to is tarkib se milna
sarakna dur haTna bhagna aur phir lipaT jaana

na milne ka irada ho to ye ayyariyan dekho
humakna aage baDhna pas aana aur haT jaana

ye kuchh bahrup-pan dekho ki ban kar shakl dane ki
bikharna sabz hona lahlahana phir simaT jaana

ye yaktai ye yak-rangi tis upar ye qayamat hai
na kam hona na baDhna aur hazaron ghaT mein baT jaana

'nazir' aisa jo chanchal dilruba bahrupiya howe
tamasha hai phir aise shoKH se saude ka paT jaana