udhar se aae to phir lauT kar nahin gae hum
pukarti rahi duniya magar nahin gae hum
agarche KHak hamari bahut hui pamal
ba-rang-e-naqsh-e-kaf-e-pa ubhar nahin gae hum
husul kuchh na hua juz ghubar-e-hairani
kahan kahan teri aawaz par nahin gae hum
mana rahe the wahan log jashn-e-be-KHwabi
yahan the KHwab bahut so udhar nahin gae hum
chaDha hua tha wo dariya agar hamare liye
to dekhte hi rahe kyun utar nahin gae hum
Ghazal
Udhar se aae to phir lauT kar nahin gae hum
Ahmad Mahfuz