udhar ki shai idhar kar di gai hai
zamin zer-o-zabar kar di gai hai
ye kali raat hai do-chaar pal ki
ye kahne mein sahar kar di gai hai
taaruf ko zara phaila diya hai
kahani muKHtasar kar di gai hai
na puchho kaise guzri umr sari
zara mein umr bhar kar di gai hai
ibaadat mein basar karni thi lekin
KHarabon mein basar kar di gai hai
kai zarraat baghi ho chuke hain
sitaron ko KHabar kar di gai hai
wo meri ham-qadam hone na pai
jo meri ham-safar kar di gai hai
hamare jugnuon se dushmani thi
zara pahle sahar kar di gai hai
Ghazal
Udhar ki shai idhar kar di gai hai
Ahmad Hamesh