اردو हिंदी
UdhDe hue malbus ka parcham sa gaya hai | Shaahi Shayari
udhDe hue malbus ka parcham sa gaya hai

Ghazal

UdhDe hue malbus ka parcham sa gaya hai

Sajjad Babar

;

udhDe hue malbus ka parcham sa gaya hai
bazar se phir aaj koi hum sa gaya hai

jhonka tha magar chheD ke guzra hai kuchh aise
jaise tere paikar ka koi KHam sa gaya hai

chhoDun ki miTa Dalun isi soch mein gum hun
aaine pe ek qatra-e-KHun jam sa gaya hai

galon pe shafaq phulti dekhi nahin kab se
lagta hai ki jismon mein lahu tham sa gaya hai

aankhon ki tarah dil bhi barabar rahe kaDwe
in tang makanon mein dhuan jam sa gaya hai

'sajjad' wahi aaj ka shair hai jo pal mein
bijli ki tarah kaund ke shabnam sa gaya hai