uDe hain hosh mere is KHabar se 
nahin hai wasta ab tere dar se 
abhi kitni sazaen aur dega 
na mar jaun kahin main tere Dar se 
bahut baqi hai barson ka taqaza 
zara tum lauT ke aao safar se 
bharose ke yahan hai kaun qabil 
bashar behtar kahan hai jaanwar se 
mujhe jina hai in bachchon ki KHatir 
nikalna hai KHayalon ke bhanwar se 
bhula pai kahan mazi ko 'sarhad' 
nami aankhon mein aariz tar-ba-tar se
        Ghazal
UDe hain hosh mere is KHabar se
Seema Sharma Sarhad

