uDate aae hain aap apne KHwab-zar ki KHak
ye aur KHak hai ek dasht-e-be-kanar ki KHak
ye main nahin hun to phir kis ki aamad aamad hai
KHushi se nachti phirti hai regzar ki KHak
hamein bhi ek hi sahra diya gaya tha magar
uDa ke aae hain wahshat mein be-shumar ki KHak
hamin muqim hue muddaten huin lekin
suron se ab bhi nikalti hai rahguzar ki KHak
ye haal hai ki abhi se khanak rahe hain zaruf
abhi gundhi nahin jin mein se be-shumar ki KHak
suna hai DhunDte phirte hain kab se kuza-garan
hamari aankh ka pani tere dayar ki KHak
ajab nahin ki mujhe zinda gaDne wale
kal aa ke phank rahe hon mere mazar ki KHak
Ghazal
UDate aae hain aap apne KHwab-zar ki KHak
Rahman Hafeez