اردو हिंदी
Udasi ke manzar makanon mein hain | Shaahi Shayari
udasi ke manzar makanon mein hain

Ghazal

Udasi ke manzar makanon mein hain

Devmani pandey

;

udasi ke manzar makanon mein hain
andhere abhi aashiyanon mein hain

mohabbat ko mausam ne aawaz di
dilon ki patangen uDanon mein hain

zaban wale bhi kash samjhen kabhi
wo dukh dard jo be-zabanon mein hain

parindon ki parwaz qaem rahe
kai KHwab shamil uDanon mein hain

kahan manzilen gum pata hi nahin
nigahen magar aasmanon mein hain

gharon mein hain mahrumiyon ke nishan
ki ab raunaqen bas dukanon mein hain