udasi aasman hai dil mera kitna akela hai
parinda sham ke pul par bahut KHamosh baiTha hai
main jab so jaun in aankhon pe apne honT rakh dena
yaqin aa jaega palkon tale bhi dil dhaDakta hai
tumhaare shahr ke sare diye to so gae kab ke
hawa se puchhna dahliz pe ye kaun jalta hai
agar fursat mile pani ki tahriron ko paDh lena
har ek dariya hazaron sal ka afsana likhta hai
kabhi main apne hathon ki lakiron se nahin uljha
mujhe malum hai qismat ka likkha bhi badalta hai
Ghazal
Udasi aasman hai dil mera kitna akela hai
Bashir Badr