udas udas the hum us ko ek zamana hua
ghazal ka aaina dekha to muskurana hua
na jaane kitne hi KHabron ne KHud-kushi kar li
chalo ki aaj ka aKHbar bhi purana hua
phir aaj bite hue mausamon ki yaad aai
phir aaj rengte lamhon se dostana hua
ye band kamre ki tanhaiyon ka ghul tha ki phir
hamare wahm par ek war qatilana hua
wo faKHta thi jise goliyon ne bhun diya
ye qatl sehn-e-gulistan mein jarehana hua
hamara shahr raha sirf walwalon ka hi shahr
use nasib kahan zalzale ugana hua
wo munhadim sahi diwar to mili ai 'rind'
usi ke sae mein taskin ka Thikana hua

Ghazal
Udas udas the hum usko ek zamana hua
Rind Saghari