udas udas sar-e-saghar-o-subu bhi main
yam-e-nashat ki ek mauj-e-tund-KHu bhi main
mujhi mein gum hain kai tirgi-ba-kaf raaten
ziya-farosh sar-e-taq-e-arzu bhi main
mujhi se qaem-o-daem hain ghar ke sannaTe
tumhaari bazm-e-tamanna ki haw-hu bhi main
mere hi zaKHm-e-tamanna mein sau tarah ke rang
bhari bahaar mein mahrum-e-rang-o-bu bhi main
jo rah chalte meri samt aankh bhi na uThae
usi ki bazm ka mauzu-e-guftugu bhi main
jise sanwar ke KHud bhi bikharta jata hun
us ek gauhar-e-sad-zau ki aabru bhi main
kuchh aise taur se chamka hai dil ka dagh-e-shikast
ki aaj tak nahin hasrat-kash-e-rafu bhi main
nazar mein tere har andaz ko sajae hue
misal-e-aina bhi main lahu lahu bhi main
main aaj saz-e-dil-o-jaan pe gaun kaun sa git
tumhaare pas bhi duniya ke ru-ba-ru bhi main
tumhaari barham se uThne ka bhi KHayal mujhe
zara si der Thaharne ka hila-ju bhi main
KHud apne aap se aisa bichhaD gaya hun 'nasim'
ki ab maqam bhi manzil bhi justuju bhi main

Ghazal
Udas udas sar-e-saghar-o-subu bhi main
Sadique Naseem