اردو हिंदी
Udas sham mein pazhmurda baad ban ke na aa | Shaahi Shayari
udas sham mein pazhmurda baad ban ke na aa

Ghazal

Udas sham mein pazhmurda baad ban ke na aa

Farhan Salim

;

udas sham mein pazhmurda baad ban ke na aa
jo aa sake to KHud aa apni yaad ban ke na aa

kabhi sahar bhi to ban ai visal ke mausam
sada yun hi shab-e-marg-e-murad ban ke na aa

tujhe tere mah o anjum ka wasta ai raat
mere in ujle daron par sawad ban ke na aa

kitab-e-zist KHuda-ra koi ghazal bhi suna
shikast-e-jaan ki faqat ruedad ban ke na aa

bhali lage to ise gunguna bhi ai lab-e-yar
meri ghazal pe faqat harf-e-dad ban ke na aa

utar zarur magar aah subh-e-azadi
kisi zamin pe wajh-e-fasad ban ke na aa