udas raat hai koi to KHwab de jao
mere gilas mein thoDi sharab de jao
bahut se aur bhi ghar hain KHuda ki basti mein
faqir kab se khaDa hai jawab de jao
main zard patton par shabnam saja ke laya hun
kisi ne mujh se kaha tha hisab de jao
adab nahin hai ye aKHbar ke tarashe hain
gae zamanon ki koi kitab de jao
phir us ke baad nazare nazar ko tarsenge
wo ja raha hai KHizan ke gulab de jao
meri nazar mein rahe Dubne ka manzar bhi
ghurub hota hua aaftab de jao
hazar safhon ka diwan kaun paDhta hai
'bashir-badr' ka koi intiKHab de jao
Ghazal
Udas raat hai koi to KHwab de jao
Bashir Badr