udas dil hai ki un ki nazar nahin hoti
baghair shams ke tab-e-qamar nahin hoti
kuchh aise log bhi duniya mein hum ne dekhe hain
sama bhi jate hain dil mein KHabar nahin hoti
uTho to dast-ba-saghar chalo to shisha-ba-dosh
ye mai-kada hai yahan yun guzar nahin hoti
kabhi kabhi mujhe un ka KHayal aata hai
kabhi kabhi mujhe apni KHabar nahin hoti
shab-e-hayat hai saghar mein Dub ja 'ishrat'
ye aisi raat hai jis ki sahar nahin hoti
Ghazal
Udas dil hai ki unki nazar nahin hoti
Amrit Lal Ishrat