udas baam hai dar kaTne ko aata hai
tere baghair ye ghar kaTne ko aata hai
KHayal-e-mausam-e-gul bhi nahin sitamgar ko
bahaar mein bhi shajar kaTne ko aata hai
faqih-e-shahr se insaf kaun mangega
faqih-e-shahr to sar kaTne ko aata hai
isi liye to kisanon ne khet chhoD diye
ki koi aur samar kaTne ko aata hai
tere KHayal ka aahu kahin bhi din mein rahe
magar wo raat idhar kaTne ko aata hai
kaha to tha ki hamein is qadar bhi Dhil na de
ab uD rahe hain to par kaTne ko aata hai
ye kaam karte the pahle sagan-e-awara
bashar ko aaj bashar kaTne ka aata hai
ye us ki rah nahin hai magar yunhi 'baqi'
wo mere sath safar kaTne ko aata hai
Ghazal
Udas baam hai dar kaTne ko aata hai
Baqi Ahmad Puri