uDa ke phir wahi gard-o-ghubar pahle sa
bula raha hai safar bar-bar pahle sa
wo ek dhund thi aaKHir ko chhaT hi jaana thi
dikhai dene laga aar-par pahle sa
nadi ne rah samundar ki phir wahi pakDi
sadaen deta raha regzar pahle sa
kahin Dhalan muqaddar na ho bulandi ka
chaDhai phir na ho apna utar pahle sa
sawal kyun na charagh-e-sahar se kar dekhen
junun ab bhi hai kya barqarar pahle sa
to kya palaT ke wahi din phir aane wale hain
kai dinon se hai dil be-qarar pahle sa
Ghazal
UDa ke phir wahi gard-o-ghubar pahle sa
Akhilesh Tiwari