اردو हिंदी
UD kar suragh-e-kucha-e-dilbar lagaiye | Shaahi Shayari
uD kar suragh-e-kucha-e-dilbar lagaiye

Ghazal

UD kar suragh-e-kucha-e-dilbar lagaiye

Agha Hajju Sharaf

;

uD kar suragh-e-kucha-e-dilbar lagaiye
kis tarah donon bazuon mein par lagaiye

ek tir dil par ek jigar par lagaiye
hissa lagaiye to barabar lagaiye

phulon mein topiye mujhe nazuk-dimagh hun
lillah is lahad mein na patthar lagaiye

jab bazm-e-yar mein hai takalluf rasai ka
KHalwat-sara-e-KHas mein bistar lagaiye

har dam kiya kare rag-e-jaan marhaba ka shor
is nok-jhonk se koi nashtar lagaiye

barson se be-qarar hai taskin ke liye
jhukiye zara jigar se mere sar lagaiye

kya bastani qafas ki ye bulbul ko bhejiye
hisse mein us ke phulon ki chadar lagaiye

ja apne dil mein dijiye mujh saf-qalb ko
aaine mein shabih-e-sikandar lagaiye

yawar nasib ho to hasinon ko chahiye
dil un se aazma ke muqaddar lagaiye

aksar wo kahte hain ki jo bosa talab kare
is guftugu pe munh ise kyunkar lagaiye

aae dahan-e-zaKHm se aawaz aur aur
is is ada-o-naz se KHanjar lagaiye

purze mere uDaiye bheja hai main ne KHat
be-jurm kyun kabab-e-kabutar lagaiye

surat jo ek ek ki takta hai aaina
hasrat ye hai suragh-e-sikandar lagaiye

hain aap to tamam KHudai ke naKHuda
mera jahaz bhi lab-e-kausar lagaiye

barham-mizaj ho ke wo bargasht-agi kare
daftar mein jis ke fard-e-muqaddar lagaiye

daulat jo mujh gharib ki luTi hai aap ne
kya kijiyega hissa-e-lashkar lagaiye

jatanon ki jaanen lin hain unhen KHun-baha mile
pura hisab dekh ke daftar lagaiye

us gul ki aa hi jaegi KHushbu dimagh mein
chaliye riyaz-e-ishq mein chakkar lagaiye

ifsha kiya jo ishq to jhunjhla ke bole wo
likhwa ke ishtihaar ye ghar ghar lagaiye

sau ja se dil phaTa hai kaleja hai chaak chaak
paiwand phaD phaD ke chadar lagaiye

phir uTh ke tere hath se kaTwaiye gala
kyun-kar dobara jism mein phir sar lagaiye

sath is qadar hain us shah-e-KHuban ke sarfarosh
barson hisab kasrat-e-lashkar lagaiye

kahte hain laKHt-e-dil ko wo bazar-e-husn mein
sauda ye mere urdu se bahar lagaiye

mujh se lagawaT aap ki shamshir karti hai
marta hun us pe is ko mere sar lagaiye

sailab-e-ashk ne mere raste kiye hain band
kashti manga ke muttasil-e-dar lagaiye

KHilat shahid-e-naz ko bhijwate hain jawab
kashti mein pahle phulon ki chadar lagaiye

pahuncha ke KHat halal hua hai ye ai 'sharaf'
aankhon se le ke KHun-e-kabutar lagaiye