اردو हिंदी
Ubhri na koi shakl na paikar nazar aaya | Shaahi Shayari
ubhri na koi shakl na paikar nazar aaya

Ghazal

Ubhri na koi shakl na paikar nazar aaya

Khalid Ahmad

;

ubhri na koi shakl na paikar nazar aaya
taswir mein rangon ka samundar nazar aaya

ai dost tera shahr bhi hai shahr-e-tilismat
chhukar jise dekha wahi patthar nazar aaya

har shaKHs haqaeq ki kaDi dhup ke Dar se
tane hue auham ki chadar nazar aaya

har shaKHs naya shaKHs tha jab ghaur se dekha
insan ek insan ke andar nazar aaya

main KHwab mein kal raat jise chum raha tha
jaga to usi hath mein patthar nazar aaya

jab bone laga bij KHayalat ke 'KHalid'
har lafz ka daman mujhe banjar nazar aaya