ubharti Dubti sanson ka silsila kyun hai
kabhi ye soch ki jo kuchh hua hua kyun hai
bane hain ek hi miTTi se hum sabhi lekin
hamari soch mein is darja fasla kyun hai
laga rakha hai ye kis ne kaDi ko andar se
ujaD ghar ka daricha Dara Dara kyun hai
abhi to phul bhi aae nahin hain shaKHon par
abhi se bojh daraKHton pe paD raha kyun hai
Thahar gaya hai wo aa kar ana ke nuqte par
usi ke sath mera waqt ruk gaya kyun hai
tumhin ne soch ke bichchhu laga ke rakkhe the
nahin to zaKHm tumhaara hara-bhara kyun hai
samajh raha hai ki teri koi sunega nahin
tu apne jism ki chiKHon se bolta kyun hai

Ghazal
Ubharti Dubti sanson ka silsila kyun hai
Obaid Haris